Barsati (feminine noun)
​
Barishon ke mausam mein aaya woh jahaaz
Kantrakiyon ko leke Suriname des
Man mein lekar kayi ashayen aur vishwas
Badalna padaa halaten dekh-kar bhes
Maine apna naam tak badla, bani "Barsatie" Par yeh bhi soch liya, lawungi bahaar
Tthaan liya maine ke, zindagi acchi khasi Karungi apni,
aur bhar dungi isme pyaar
Mausam badle, badle insanon ke rang
Ret par meri boondon ki khushbu na badli
Meri hasti na badli, badle mere sang Kabhi main thami, toh kabhi khoob barsi
Main ek aurat hoon, hai yeh Kainaat meri
Waada hai yeh mera, rakhungi ise sanwaare
Jaise har boond banke main barsoongi
Har paudhe ko seench rakhungi sajaye
Main ek aurat hoon, ek maa, ek behen ek biwi
Main woh barsaat fasal ko degi jo sahara
Main hamesha se thi, aur rahungi seedhi
Mujhse koi dhokha na hoga ganwara
Mujhpe rakhna hamesha bharosa main mausam ki terah nahin badlungi
Mujhe jab bhi kisi ne roka
Main toofaan banke barsoongi
​
Barsati - a poem by Manoj Daryanani
Thanks to:
S.M. Soechit (spice man)
Hoesnebanoe Janmohamed-Abdoelrahman (dressmaker)